Akhtar Ansari Akbarabadi

zindagi hogi meri ai gham-e-dauran ek roz

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
zindagī hogī mirī ai ġham-e-daurāñ ik roz
maiñ sañvāruñgā tirī zulf-e-pareshāñ ik roz
gul khilā.egī na.ī mauj-e-bahārāñ ik roz
TuuT hī jā.eñge qufl-e-dar-e-zindāñ ik roz
kitne uljhe hue hālāt-e-zamāna haiñ abhī
hoñge shāne pe mire gesū-e-jānāñ ik roz
ahl-e-zindāñ se ye kah do ki zarā sabr kareñ
hogā har samt gulistāñ hī gulistāñ ik roz
aa ke ik roz jalā.ūñgā murādoñ ke diye
terī mahfil meñ karūñgā maiñ charāġhāñ ik roz
jaan detā huuñ abhī ishq ke andāz pe maiñ
husn hogā mire pahlū meñ ġhazal-ḳhvāñ ik roz
kuchh añdhere haiñ abhī raah meñ haa.il 'aḳhtar'
apnī manzil pe nazar aa.egā insāñ ik roz
Top Urdushayar.com