Jafar Raza

wada-e-ulfat-o-paiman-e-wafa se tauba

Jafar Raza

1939
va.ada-e-ulfat-o-paimān-e-vafā se tauba
tajraba kahtā hai us husn-e-adā se tauba
raat tārīk hai bechainī baḌhī jaatī hai
jis kā ulTā ho asar aisī duā se tauba
apnā ghar ban gayā maqtal magar ham ahl-e-yaqīñ
nahīñ karte haiñ ġham-e-hosh-rubā se tauba
un kī fasta.ī tabī.at meñ hai qatl-o-ġhārat
kyuuñ kareñge vo bhalā zulm-o-jafā se tauba
bijlī chamke to bahāne se lipaT jaate haiñ
phir vo kahte haiñ baḌī sharm-o-hayā se tauba
chashm-e-sāqī kī qasam thā ye bahāna varna
kahīñ karte haiñ mai-o-jām ke pyāse tauba
us ne to chiir diyā ahl-e-chaman ke dil ko
ab ke bal khaa.ī huī bād-e-sabā se tauba
Top Urdushayar.com