kaifiyat kyā thī yahāñ ālam-e-ġham se pahle
kaun aayā thā tirī bazm meñ ham se pahle
sab karam hai tire andāz-e-sitam se ai dost
zauq-e-ġham dil ko na thā tere sitam se pahle
bandagī terī ḳhudā.ī se bahut hai aage
naqsh-e-sajda hai tire naqsh-e-qadam se pahle
qalb-e-insāñ ko hai ab phir usī aalam kī talāsh
terī mahfil thī jahāñ dair-o-haram se pahle
ham se mansūr zamāne meñ kahāñ haiñ 'aḳhtar'
daar tak aa nahīñ saktā koī ham se pahle