Akhtar Ansari Akbarabadi

kaun sunta hai sirf zat ki baat

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
kaun suntā hai sirf zaat kī baat
lab pe hai mere kā.enāt kī baat
kyuuñ shikan paḌ ga.ī hai abrū par
maiñ to kahtā huuñ ek baat kī baat
sham.a rotī hai taare Dūbte haiñ
ab fasāna banegī raat kī baat
sub.h-e-nau muskurāne vaalī hai
kyā kaheñ shab ke hādsāt kī baat
muztarib ho rahe haiñ dīvāne
hai tumhārī navāzishāt kī baat
bazm-e-'aḳhtar' meñ kyuuñ ḳhamosh ho tum
hai ye bejā takallufāt kī baat
Top Urdushayar.com