nazar se safha-e-ālam pe ḳhūnīñ dāstāñ likhiye
qalam se kyā hikāyāt-e-zamīn-o-āsmāñ likhiye
miTā de jo fazā kī tīrgī māhaul kī pastī
koī aisā bhī sher ai shā.irān-e-ḳhush-bayāñ likhiye
bapā haiñ har jihat meñ ātish-o-āhan ke hañgāme
kahāñ is daur meñ jaur-o-jafā-e-mahvashāñ likhiye
ḳhatar-hā-e-rah-e-majnūñ kā qissa kyuuñ bayāñ kījiye
nazar ko nāqa-e-lailā ḳhirad ko sārbāñ likhiye
yahī haiñ yādgār-e-ġhuncha-o-gul is zamāne meñ
inhīñ sūkhe hue kāñToñ se zikr-e-gulsitāñ likhiye
bayāñ karne ko hai tarz-e-tapāk-e-dostāñ kaafī
ab is duniyā meñ kyā rañg-e-ġhurūr-e-dushmanāñ likhiye
rivāyāt-e-kuhan meñ dilkashī baaqī nahīñ 'aḳhtar'
na.e andāz se tārīḳh-e-shahr-e-gul-ruḳhāñ likhiye