Akhtar Ansari Akbarabadi

na jaane qafile poshida kis ghubar mein hain

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
na jaane qāfile poshīda kis ġhubār meñ haiñ
ki manziloñ ke charāġh ab tak intizār meñ haiñ
bachā bachā ke guzarnā hai dāman-e-hastī
sharīk-e-ḳhār bhī kuchh jashn-e-nau-bahār meñ haiñ
kisī jadīd talātum kā intizār na ho
sunā to hai ki safīne abhī qarār meñ haiñ
pukārte haiñ ki dauḌo guzar na jaa.e ye daur
charāġh bujhte hue se jo rahguzār meñ haiñ
abhī to duur hai manzil ye qāfiloñ ke hujūm
abhī to marhala-e-jabr-o-iḳhtiyār meñ haiñ
abhī bahār ne sīkhī kahāñ hai dil-jūī
hazār daaġh abhī qalb-e-lāla-zār meñ haiñ
nikhar nikhar ke jo masmūm kar rahe haiñ fazā
kuchh aise phuul bhī 'aḳhtar' na.ī bahār meñ haiñ
Top Urdushayar.com