Akhtar Ansari Akbarabadi

ye mohabbat ki jawani ka saman hai ki nahin

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
ye mohabbat kī javānī kā samāñ hai ki nahīñ
ab mire zer-e-qadam kāhkashāñ hai ki nahīñ
dāman-e-rind-e-balā-nosh ko dekh ai saaqī
parcham-e-ḳhvājgī-e-kaun-o-makāñ hai ki nahīñ
muskurāte hue guzre the idhar se kuchh log
aaj pur-nūr guzar-gāh-e-zmāañ hai ki nahīñ
husn hī husn hai gulzār-e-junūñ meñ raqsāñ
ishq kā ālam-e-sad-rañg javāñ hai ki nahīñ
raah par aa hī ga.e aaj bhaTakne vaale
rāhbar dekh vo manzil kā nishāñ hai ki nahīñ
laakh girdāb-o-talātum se guzar kar ai dost
ab safīna mirā sāhil pe ravāñ hai ki nahīñ
tazkire apne har ik bazm meñ haiñ ai 'aḳhtar'
aaj mohmal sī hadīs-e-digrāñ hai ki nahīñ
Top Urdushayar.com