luTāo jaan to bantī hai baat kis ne kahā
ye bazm-e-ishq meñ rāz-e-hayāt kis ne kahā
rah-e-talab meñ sunātā koī tarāna-e-nau
yahāñ fasāna-e-zāt-o-sifāt kis ne kahā
abhī savābit-o-sayyār meñ hai fasl bahut
simaT chukī hai bahut kā.enāt kis ne kahā
har ik choT pe khultī hai aañkh insāñ kī
haiñ ḳhizr-e-rāh-e-talab hādsāt kis ne kahā
ham āsmāñ ko zamīñ par utaar laa.e magar
abhī nahīñ hai shu.ūr-e-hayāt kis ne kahā
ham apnī dhun meñ haiñ masrūf kis taraf dekheñ
hameñ nahīñ hai ġham-e-iltifāt kis ne kahā
hameñ sukūn mayassar nahīñ magar 'aḳhtar'
hamāre daur ko daur-e-najāt kis ne kahā