shā.iro hadd-e-qadāmat se nikal kar dekho
dāstānoñ ke ab unvān badal kar dekho
kyuuñ ho taqlīd-e-kalīm aaj bhī ai dīda-varo
dīdanī ho koī jalva to sambhal kar dekho
sham-o-parvāna kā andāz nayā hai ki nahīñ
zikr thā jis kā ab us bazm meñ chal kar dekho
aur bhī ruḳh nazar ā.eñge tajallī ke abhī
ruḳh nigāhoñ ke zarā aur badal kar dekho
agle vaqtoñ ke fasāne na sunāo yaaro
na.e māhaul ke sāñche meñ bhī Dhal kar dekho
kal ke andāz bhī dilkash the ye taslīm magar
aaj bhī shahr-e-nigārāñ meñ nikal kar dekho
apne ahbāb kī jānib na uThāo nazreñ
dekhnā hai agar 'aḳhtar' to sambhal kar dekho