fasurda ho ke maiḳhāne se nikle
yahāñ bhī apne begāne se nikle
shafaq kā rañg gahrā kar ga.e aur
jo sho.ale mere kāshāne se nikle
zarā ai gardish-e-daurāñ Thaharnā
vo nikle riñd maiḳhāne se nikle
ġham-e-dil kā asar har bazm meñ hai
sab afsāne us afsāne se nikle
kiyā ābād vīrāne ko ham ne
hamīñ ābād vīrāne se nikle
jo pahuñche daar tak mansūr the vo
hazāroñ riñd maiḳhāne se nikle
nikalte ham na ġham-ḳhāne se 'aḳhtar'
hasīñ mausam ke bahkāne se nikle