Akhtar Ansari Akbarabadi

yun badalti hai kahin barq-o-sharar ki surat

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
yuuñ badaltī hai kahīñ barq-o-sharar kī sūrat
qābil-e-dīd huī hai gul-e-tar kī sūrat
zulf kī aaḌ meñ thī jān-e-nazar kī sūrat
raat guzrī to nazar aa.ī sahar kī sūrat
un ke lab par hai tabassum mirī āñkhoñ meñ surūr
kyā dikhā.ī hai duāoñ ne asar kī sūrat
qāfile vaalo na.e qāfila-sālār aa.e
ab badal jā.egī andāz-e-safar kī sūrat
kyā karishma hai mire jazba-e-āzādī kā
thī jo dīvār kabhī ab hai vo dar kī sūrat
ab koī hausla-afzā-e-hunar hai 'aḳhtar'
ab nazar aa.egī arbāb-e-hunar kī sūrat
Top Urdushayar.com