zaat ke gard fasīleñ haiñ riyāzat ma.alūm
sirf jannat ke liye hai to ibādat ma.alūm
ye bhī ik shān-e-rahīmī hai tirī izz-o-jal
na to manzil kī ḳhabar hai na masāfat ma.alūm
vo bhī ik shaḳhs hai saada sā magar pechīda
na khulī us kī mohabbat na adāvat ma.alūm
zaḳhm-e-dil ho ga.e ḳhandāñ vo mulāqāt huī
hai mujhe aap kā andāz-e-ayādat ma.alūm
vahī qātil vahī munsif vahī ainī shāhid
adl aur aap kī mīzān-e-adālat ma.alūm
jāñch kā hukm haqā.eq kī hai parda-poshī
un ko pahle se haiñ asbāb-e-baġhāvat ma.alūm
aise-vaise hue is shahr meñ kaise kaise
ahl-e-dastār kī hai ham ko najābat ma.alūm
ḳhūn-e-nāhaq se haiñ buniyādeñ bharī mahloñ kī
qatl hote the jo hotī thī siyādat ma.alūm