nahīñ āsān tark-e-ishq karnā dil se ġham jaanā
bahut dushvār hai chaḌhte hue tūfāñ kā tham jaanā
ḳhabar kyā thī sitam kī parda-dārī yuuñ bhī hotī hai
bahut nādim huuñ jab se maqsad-e-josh-e-karam jaanā
lihāz-e-vaz.a-dārī meñ kabhī mumkin na ho shāyad
tumhārā do qadam aanā hamārā do qadam jaanā
hameñ andāz-e-rindāna kabhī girne nahīñ dete
jo sāġhar sāmne aayā usī ko jām-e-jam jaanā
mirā har sher 'aḳhtar' ik payām-e-zindagī niklā
mujhe duniyā ne āḳhir mālik-e-lauh-e-qalam jaanā