koshish-e-paiham ko sa.ī-e-rā.egāñ kahte raho
ham chale ab tum hamārī dāstāñ kahte raho
guftanī bāteñ sahī nāguftanī bāteñ sahī
chup na baiTho koī afsāna yahāñ kahte raho
maslahat kyā baat jo haq hī vo kah do barmalā
laakh hoñ ahbāb tum se bad-gumāñ kahte raho
ham ki the āzād āzādī kī ḳhātir mar ga.e
jiine vaalo tum qafas ko āshiyāñ kahte raho
sirf kahne se zamīñ kyā āsmāñ ho jā.egī
kuchh nahīñ hogā zamīñ ko āsmāñ kahte raho
raah kyā manzil hai kaisī har haqīqat hai fareb
kārvāñ ko bhī ġhubār-e-kārvāñ kahte raho
kyuuñ karo 'aḳhtar' kī bāteñ vo to ik dīvāna hai
tum to yaaro apnī apnī dāstāñ kahte raho