duur tak raushnī hai ġhaur se dekh
maut bhī zindagī hai ġhaur se dekh
un charāġhoñ ke ba.ad ai duniyā
kis qadar tīrgī hai ġhaur se dekh
rahnumāoñ kā jazba-e-īsār
ye bhī ik rahzanī hai ġhaur se dekh
dushmanī ko burā na kah ai dost
dekh kyā dostī hai ġhaur se dekh
tark-e-tadbīr-o-justujū ke ba.ad
zindagī zindagī hai ġhaur se dekh
gar ye shabnam kā rañg laayā hai
har taraf tāzgī hai ġhaur se dekh
haiñ tahayyur meñ vo bhī ai 'aḳhtar'
kyā tirī shā.irī hai ġhaur se dekh