Akhtar Ansari Akbarabadi

na raaz-e-ibtida samjho na raaz-e-intiha samjho

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
na rāz-e-ibtidā samjho na rāz-e-intihā samjho
nazar vāloñ tumheñ karnā hai ab duniyā meñ kyā samjho
talab meñ sidq hai to ek din manzil pe pahuñchoge
qadam aage baḌhāo ḳhud ko apnā rahnumā samjho
ye kyā andāz hai itnā gurez ahl-e-tamannā se
ḳhudā taufīq de to ahl-e-dil kā mudda.ā samjho
tumhāre har ishāre par sar-e-taslīm ḳham lekin
guzārish hai ki jazbāt-e-mohabbat ko zarā samjho
ho koī mauj-e-tūfāñ yā havā-e-tund kā jhoñkā
jo pahuñchā de lab-e-sāhil usī ko nāḳhudā samjho
jise dekho vahī badmast hī maġhrūr hai hamdam
koī banda nahīñ duniyā meñ kis kis ko ḳhudā samjho
yahāñ rahbar ke parde meñ bahut rahzan haiñ ai 'aḳhtar'
raho duur us se tum jis ko vafā nā-āshnā samjho
Top Urdushayar.com