Akhtar Ansari Akbarabadi

rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junun bebak nahin

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
rahne de ye tanz ke nashtar ahl-e-junūñ bebāk nahīñ
kaun hai apne hosh meñ zālim kis kā garebāñ chaak nahīñ
jab thā zamāna dīvānoñ kā ab farzāne aa.e haiñ
jab sahrā meñ lāla-o-gul the ab gulshan meñ ḳhaak nahīñ
fitnoñ kī arzānī se ab ek ik taar ālūda hai
ham dekheñ kis kis ke dāman ek bhī dāman paak nahīñ
mauj-e-talātum ḳhair haiñ ham sāhil ke qarīb aate hī nahīñ
vaqt kī rau meñ bah jaa.eñ ham aise ḳhas-o-ḳhāshāk nahīñ
dard-o-karb se hashr bapā hoñToñ pe tabassum hai 'aḳhtar'
dil kā aalam kuchh bhī rahe āñkheñ to magar namnāk nahīñ
Top Urdushayar.com