Akhtar Ansari Akbarabadi

jam la jam ki aalam se ji Darta hai

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
jaam lā jaam ki ālām se jī Dartā hai
asar-e-gardish-e-ayyām se jī Dartā hai
lab pe ab āriz-o-gesū ke fasāne kyā hoñ
fitnahā-e-sahar-o-shām se jī Dartā hai
tujh ko maiñ DhūñDhtā phirtā huuñ dar-o-bām se duur
ab tajallī-e-dar-o-bām se jī Dartā hai
gul khilā.e na kahīñ fitna-e-daurāñ kuchh aur
āj-kal daur-e-mai-o-jām se jī Dartā hai
nigah-e-mast ke qurbān mirī samt na dekh
mauja-e-bāda-e-gulfām se jī Dartā hai
chhoḌ kar raah meñ but-ḳhāne guzar jaatā huuñ
hosh meñ jalva-e-asnām se jī Dartā hai
raat kī zulmateñ baḌhtī hī chalī jaatī haiñ
'aḳhtar' apnā to sar-e-shām se jī Dartā hai
Top Urdushayar.com