hadīs-e-ishq ko unvān lā-javāb milā
mujhe nigāh milī hai use shabāb milā
hameñ nasīb se qur.ān lā-javāb milā
varaq jahāñ se khulā zindagī kā baab milā
ḳhudā ke fazl se jūyā-e-ilm-o-dānihs ko
nabī sā shahr milā aur alī sā baab milā
gunāhgār hamīñ the tamām ḳhilqat meñ
hameñ ko ashraf-e-maḳhlūq kā ḳhitāb milā
bas ek ḳhvāb kī ta.abīr DhūñDhte guzrī
tamām-umr kā hāsil bas ek ḳhvāb milā
jhukī jhukī sī nigāhoñ meñ iztirāb nihāñ
na jaane kitne hijāboñ meñ be-hijāb milā
jamāl-e-yār kī ra.anā.iyoñ meñ āḳhir-e-shab
kahīñ ye kāhkashāñ thī kahīñ shahāb milā
zamīn-e-sher huī āftāb-e-burj-e-sharaf
'anīs' fan meñ tire lutf-e-bū-turāb milā
suḳhan samajhte haiñ 'ja.afar'-razā ka.ī ahbāb
jo rāh-e-shauq meñ naġhmāt kā sarāb milā