nadīm baaġh meñ josh-e-numū kī baat na kar
bahār aa to ga.ī rañg-o-bū kī baat na kar
ajiib bhūl-bhulayyāñ hai shāhrāh-e-hayat
bhaTakne vaale yahāñ justujū kī baat na kar
tabāh kar na mazāq-e-junūñ kī ḳhuddārī
dil-e-tabāh kisī tund-ḳhū kī baat na kar
ḳhud apne tarz-e-amal ko sañvār aur sañvār
mire rafīq tarīq-e-adū kī baat na kar
gurez-e-husn ko andāz-e-husn kahte haiñ
nazar se dekh magar ḳhūb-rū kī baat na kar
ye barq-e-husn jalātī to hai magar nāseh
vo aur shai hai mire sho.ala-ḳhū kī baat na kar
ye mai-kade kī fazā kah rahī hai ai 'aḳhtar'
ki tishnagī meñ bhī jām-o-subū kī baat na kar