zabān band rahī dil kā mudda.ā na kahā
magar nigāh ne us anjuman meñ kyā na kahā
muhīt-e-shauq meñ ham Dūbte ubharte rahe
ḳhudā gavāh kabhī jaur-e-nā-ḳhudā na kahā
sanam-kada hai ki ik mahfil-e-ḳhudā-vandāñ
bahut ḳhafā huā vo but jise ḳhudā na kahā
hazār ḳhizr-numā log rāstoñ meñ mile
hamāre dil ne kisī ko bhī rahnumā na kahā
ye kā.enāt to hai ḳhair mujh se begāna
agar nigāh ne terī bhī āshnā na kahā