Akhtar Ansari Akbarabadi

ye rang-o-kaif kahan tha shabab se pahle

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
ye rañg-o-kaif kahāñ thā shabāb se pahle
nazar kuchh aur thī mauj-e-sharāb se pahle
na jaane haal ho kyā daur-e-iztirāb ke ba.ad
sukūñ milā na kabhī iztirāb se pahle
vahī ġharīb haiñ ḳhāna-ḳharāb se ab bhī
ravāñ-davāñ the jo ḳhāna-ḳharāb se pahle
vahī hai hashr kā aalam ab inqalāb ke ba.ad
jo hashr uThā thā yahāñ inqalāb se pahle
milī hai tujh se to mahsūs ho rahī hai nazar
nazar kahāñ thī tire intiḳhāb se pahle
tabāh haal zamāne ko dekhiye 'aḳhtar'
nazar uThā.iye jām-e-sharāb se pahle
Top Urdushayar.com