Akhtar Ansari Akbarabadi

sharab aae to kaif-o-asar ki baat karo

Akhtar Ansari Akbarabadi

Agra, Uttar pradesh, India

1920-1958
sharāb aa.e to kaif-o-asar kī baat karo
piyo to bazm meñ fikr-o-nazar kī baat karo
fasāna-e-ḳham-e-gesū meñ kaif kuchh bhī nahīñ
nizām-e-ālam-e-zer-o-zabar kī baat karo
chaman meñ daam bichhātā hai vaqt kā sayyād
guloñ se hausla-e-bāl-o-par kī baat karo
qabā-e-zohd kī pākīzgī to dekh chuke
sharāb-ḳhāne meñ dāmān-e-tar kī baat karo
kahāniyāñ shab-e-hijrāñ kī ho chukī haiñ tamām
sahar tulūa huī hai sahar kī baat karo
chaman chaman meñ udhar ho rahī hai had-bandī
khulī fazā.eñ jidhar haiñ udhar kī baat karo
guloñ kā zikr bahāroñ meñ kar chuke 'aḳhtar'
ab aao hosh meñ barq-o-sharar kī baat karo
Top Urdushayar.com