kab havā muTThī meñ aatī hai abas dauḌā kiyā
jaane kyā kyā kal yūñhī maiñ rāt-bhar sochā kiyā
ab to is tark-e-ta.alluq meñ mujhe bhī lutf hai
jo kiyā tum ne mirī ḳhātir bahut achchhā kiyā
jaise vo bhī falsafe ke nukta-e-pechīda hoñ
merī bāteñ mere badle ġhair se samjhā kiyā
phir mujhe daryāft karne kī use hasrat rahī
vo mujhe dīmak lage aurāq meñ DhūñDhā kiyā
ḳhū meñ chāhe tund ho dil se nihāyat nek hai
bhuul kar sab pichhlī bāteñ mere paas aayā kiyā
tishnagī merā muqaddar hai mujhe paanī se kyā
jāntā thā phir bhī ḳhema nahr par barpā kiyā
kal vahī shab thī jo aatī hai nasīboñ se magar
aur sab sote rahe bas ek maiñ jaagā kiyā
jab na.ī āvāz uTThī qatl karne aa.e log
ik madārī saañp kā sar maan kar kuchlā kiyā