shahr kī vīrāñ saḌak par jashn-e-ġham karte hue
jā rahā huuñ ḳhushki-e-mizhgāñ ko nam karte hue
zindagī tanhā safar par gāmzan hotī huī
aur ham yādoñ ko pichhlī ham-qadam karte hue
bol uThte haiñ ka.ī barsoñ purāne zaḳhm bhī
dil ho jab masrūf apnī chup raqam karte hue
us kā bhī kahnā yahī barbād ho jāoge tum
aur ham bhī Thiik vaisā dam-ba-dam karte hue
mehrbānī lāzmī hai ḳhud bhī apnī zaat par
harj kaisā aap apne par karam karte hue
dañg rah jāoge tum apne karam-farmā ko jab
dekh loge ik dafa ghar meñ sitam karte hue
ain-mumkin hai taḌap uThnā hamārā ek din
yaad meñ allāh kī yād-e-sanam karte hue
jaane kis dam le uḌe ye maut kā jhoñkā 'amar'
ek din ḳhāk-e-badan ko ḳhud meñ zam karte hue