Jafar Raza

kabhi to dosto apne watan ki baat karen

Jafar Raza

1939
kabhī to dosto apne vatan kī baat kareñ
kabhī to chāk-e-dil-o-pairahan kī baat kareñ
ḳhirad kī bazm meñ dīvāne-pan kī baat kareñ
hikāyatoñ meñ kisī sīm-tan kī baat kareñ
guloñ ke sāmne kyā fikr-o-fan kī baat kareñ
ye saada log haiñ un se chaman kī baat kareñ
ḳhayāl-e-yār salāmat hazār bazm-e-tarab
ġhazal ke naam pe gul-pairahan kī baat kareñ
mashām-e-jāñ meñ vo gesū mahakte jaate haiñ
kisī ḳhutan kī na mushk-e-ḳhutan kī baat kareñ
nigāh-e-fitna hai ek ik adā qayāmat hai
vo laakh ban ke baḌe bholpan kī baat kareñ
bhalī sī baat azīzoñ pe baar hotī hai
dayār-e-ġhair meñ kaise vatan kī baat kareñ
shanāsā chehre yahāñ ajnabī se lagte haiñ
hoñ ahl-e-zauq to ahl-e-suḳhan kī baat kareñ
jahāñ pe qatl ho urdu zabāñ nafāsat se
chalo kuchh aaj usī anjuman kī baat kareñ
Top Urdushayar.com