diid kā isrār muusā lan-tarānī koh-e-tūr
ham ne āñkheñ band kiiñ aur aa ga.e tere huzūr
ab hinā.ī dast kī hoñgī ijāra-dāriyāñ
aañkh meñ shabnam jabīñ ke nuur meñ rañg-e-shu.ūr
baat karnā mausam-e-barsāt kī pahlī jhaḌī
muskurā ke dekhnā qaus-e-quzah kā hai zuhūr
phuul bastī meñ chaleñ ham-joliyoñ kā saath hai
shahroñ shahroñ baḌh gayā hai sañg-zādoñ kā futūr
pesh-e-ḳhidmat hai ye apnī baat apnā idda.ā
dekhnā harf-e-suḳhan par kis ko hāsil hai futūr