Naaz Muradabadi

guzar kar aadmi rah-e-musibat se sanwarta hai

Naaz Muradabadi

Mussoorie, Uttarakhand, India

1936
guzar kar aadmī rāh-e-musībat se sañvartā hai
qamar kā nuur shab kī zulmatoñ meñ hī nikhartā hai
ba-juz dard-e-hayāt-e-ġham nahīñ miltā kahīñ kuchh bhī
bashar duniyā-e-fānī meñ jahāñ se bhī guzartā hai
guloñ kī pattiyāñ jaise guloñ se ruuTh jaatī haiñ
dam-e-tanhā.ī-e-ġham kuchh mirā dil yuuñ bikhartā hai
ba-sūrat qatra-e-shabnam huuñ maiñ ḳhār-e-gulistāñ par
mirā dil zahmat-e-mehr-e-daraḳhshāñ se bhī Dartā hai
ye dekhā hai nahīñ be-faiz aamad abr-e-naisāñ kī
koī anjām hotā hai bashar jo kuchh bhī kartā hai
farishtoñ kā guzar jin manziloñ se ġhair-mumkin hai
bashar kī azmateñ dekho vahāñ se bhī guzartā hai
nikohish nāḳhun-e-nādāñ pe qaabū pā hī jaatī hai
baḌā parhez karte haiñ kahīñ tab zaḳhm bhartā hai
sambhal ai firqa-e-ushshāq ab phir imtihāñ hogā
sar-e-chilman kisī kāfir kā phir gesū sañvartā hai
ulajhte haiñ tire kūche meñ jo murġh-e-chaman ke pair
dam-e-parvāz gulshan se kisī kā dil bhī bhartā hai
fanā kartā hai pahle zindagī kī har tamannā ko
kahīñ tab jā ke insāñ pastī-e-ġham se ubhartā hai
isī baa.is vufūr-e-ġham meñ aksar 'nāz' hañste haiñ
musībat aur baḌhtī hai jo ġham se jitnā Dartā hai
Top Urdushayar.com