vo kaun hai duniyā meñ jo majbūr nahīñ hai
insāñ ko kisī baat kā maqdūr nahīñ hai
har shai pe tire husn kā jaadū hai azal se
kyā chiiz tire husn se mas.hūr nahīñ hai
mahkūm banā letā bashar arz-o-samā ko
lekin vo kare kyā use maqdūr nahīñ hai
duniyā meñ use aish-o-masarrat na mileñge
vo dil jo ġham-e-ishq se ranjūr nahīñ hai
maanā ki haqīqat ko samajhnā nahīñ āsāñ
insān haqīqat se magar duur nahīñ hai
hai sāhab-e-īmāñ kī kamī ahl-e-jahāñ meñ
ik raaz bhī varna tirā mastūr nahīñ hai
uTTho ki zamāne ko gunāhoñ se bachā.eñ
jo din hai qayāmat kā vo din duur nahīñ hai
kuchh kījiye a.amāl sañvar jaa.eñ jahāñ meñ
kuchh sochiye ab vaqt-e-qazā duur nahīñ hai
tūfān kī har mauj hai ik dars-e-haqīqat
sāhil pe pahuñchnā mujhe manzūr nahīñ hai
ehsās-e-sadāqat jo nahīñ ahl-e-talab meñ
chehroñ pe bhī īmān kā vo nuur nahīñ hai
maanā ki har ik ishrat-e-ālam hai mayassar
insān magar aaj bhī masrūr nahīñ hai
har qaum kā ehsās nahīñ jis ke amal meñ
dar-asl vo jamhūr bhī jamhūr nahīñ hai
hai 'nāz' kā har sher ḳhud ik sham-e-farozāñ
ye baat alag hai ki vo mash.hūr nahīñ hai