Naaz Muradabadi

dil shab-e-furqat sukun ki justuju karta raha

Naaz Muradabadi

Mussoorie, Uttarakhand, India

1936
dil shab-e-furqat sukūñ kī justujū kartā rahā
rāt-bhar dīvār-o-dar se guftugū kartā rahā
jo bahāroñ kī chaman meñ aarzū kartā rahā
nazr-e-rañg-o-bū ḳhud apnā hī lahū kartā rahā
apnī nazroñ ko ḳharāb-e-justujū kartā rahā
jo musalsal imityāz-e-rañg-o-bū kartā rahā
shīsha-e-dil jo nazākat meñ guhar se kam nahīñ
ishq meñ kaise sitam sahne kī ḳhū kartā rahā
āshiqī meñ us kī nākāmī bhī nākāmī nahīñ
jo fanā ho kar bhī terī justujū kartā rahā
terī chashm-e-mast se piine ke jo qābil na thā
mai-kade meñ ḳhvāhish-e-jām-o-subū kartā rahā
sochnā ye hai ki us ke ḳhūn-e-dil ko kyā huā
jo qafas meñ ārzū-e-rañg-o-bū kartā rahā
dil ne josh-e-shauq meñ kitne hī sajde kar liye
dīda-e-tar ḳhūn-e-dil se hī vuzū kartā rahā
jis ne paiham koshisheñ kiiñ amn-e-ālam ke liye
vo ḳhud apne hī chaman ko surḳh-rū kartā rahā
vo sitam Dhāte rahe har dil pe aur har zaḳhm-e-dil
shikva-e-bedād unhīñ ke rū-ba-rū kartā rahā
aise dīvāne ko kyā chāk-e-garebāñ kī ho qadr
umr-bhar jo chāk-e-dāman hī rafū kartā rahā
saare aalam ko rahī ai 'nāz' us kī justujū
apne jalvoñ ko ayaañ vo kū-ba-kū kartā rahā
Top Urdushayar.com