ham apne-āp se karte rahe bayāñ tanhā
tumhārī bazm meñ baiThe kahāñ kahāñ tanhā
taġhayyurāt ke aaseb meñ vajūd mirā
ujaaḌ ban meñ ho jaise koī makāñ tanhā
ye soz-o-sāz kā paikar ye haDDiyoñ kā nagar
jo aag paa.e to chaTḳhe uThe dhuāñ
kahīñ kisī kī siyāsat na rañg laa.ī ho
bhare chaman meñ hai kyuuñ aaj bāġhbāñ tanhā
ye bār-e-ishq jise āsmāñ uThā na sakā
uThā.e phirtā rahā huuñ maiñ nā-tavāñ tanhā
tumhāre aane kī aahaT to kab se suntā huuñ
chale bhī aao mire paas mehrbāñ tanhā
hamīñ harīf rahe aur hamīñ halīf hue
hamāre ba.ad huā mīr-e-kārvāñ tanhā
vahī to dushman-e-jāñ hai usī se kaise bacheñ
vo ek shaḳhs jo aayā thā kal yahāñ tanhā
yahī zamīn tamaddun kī rāzdār rahī
yahī zamīn ugaltī rahī dhuāñ tanhā