ġhunche ġhunche pe gulistāñ ke nikhār aa jaa.e
jis taraf se vo guzar jaa.eñ bahār aa jaa.e
har nafas hashr-ba-dāmāñ hai junūn-e-ġham meñ
kis tarah ahl-e-mohabbat ko qarār aa jaa.e
vo koī jaam pilā deñ to na jaane kyā ho
jin ke dekhe hī se āñkhoñ meñ ḳhumār aa jaa.e
ġhair hī se sahī paiham ye kudūrat kyuuñ ho
kahīñ ā.īna-e-dil par na ġhubār aa jaa.e
kuchh is andāz se hai husn pashīmān-e-jafā
koī māyūs-e-vafā dekhe to pyaar aa jaa.e
'nāz' ghar se liye jaatā hai sū-e-dasht mujhe
vo junūñ jis se bayābāñ ko bhī aar aa jaa.e