mirī justujū kā hāsil mirā shauq-e-vālihāna
mirī aarzū kī manzil na chaman na āshiyāna
koī dil jahāñ banā hai ġham-e-ishq kā nishāna
vahīñ raas aa ga.ī hai use gardish-e-zamāna
kabhī yaad aa ga.ī hai to ghaTā.eñ chhā ga.ī haiñ
maiñ kise batā.ūñ kyā hai tirī zulf-e-kāfirāna
mirī shā.irī meñ pinhāñ mire dil kī dhaḌkaneñ haiñ
mirī har ġhazal hai goyā ġham-e-ishq kā fasāna
ye nazar nazar tabāhī ye qadam qadam musībat
kahīñ past ho na jaa.e mirā azm-e-fātehāna
tirī hamd kyā kareñge ye bayāñ ye lafz-o-ma.anī
tirā husn bhī anokhā tirī zaat bhī yagāna
ye faroġh-e-gulsitāñ hai ki bahār se ayaañ hai
tire husn kī haqīqat mire ishq kā fasāna
mirī har ġhazal hai goyā mirī zindagī kā hāsil
ki har ek sher meñ hai mirā soz-e-āshiqāna
ye hai nāz-e-shauq insāñ ki rasā.ī hai falak tak
mire dard-e-dil ko lekin na samajh sakā zamāna