ye kashtī-e-hayāt ye tūfān-e-hādsāt
mujh ko to kuchh ḳhabar na rahī ār-pār kī
hai gardish-e-zamāna meñ do-rañgī-e-hayāt
ummīd kī sahar hai to shab intizār kī
ye dair ye haram ye kalīsā ye somnāt
tārīf kyā ho qudrat parvardigār kī
hai kaun jo uThā sake bār-e-ġham-e-hayāt
ham ne bhī gar qabā-e-ḳhirad taar taar kī
allāh re tasādum-e-hālāt-o-hādsāt
kī iḳhtiyār sañg ne sūrat sharār kī
zarroñ kī āb-o-tāb se tāroñ ne khaa.ī maat
ye ḳhūbiyāñ haiñ ḳhaak tire inkisār kī
ai 'ashk' zindagī meñ na pūchhī kisī ne baat
ab ḳhaak chūmte haiñ hamāre mazār kī