Ashk Amritsari

qaid-e-hasti mein hun apne farz ki tamil tak

Ashk Amritsari

Amritsar, Punjab, India

1900-1956
qaid-e-hastī meñ huuñ apne farz kī ta.amīl tak
ik na.ī duniyā na.e insān kī tashkīl tak
daam ham-rañg-e-zamīñ phailā diyā sayyād ne
vādī-e-gañg-o-jaman se rūd-bār-e-nīl tak
aañkh se bah jā.egā dil meñ agar baaqī rahā
qatra-e-ḳhūñ dāstān-e-dard kī takmīl tak
shā.irī kā saaz hai vo saaz ho jis saaz meñ
naġhma-e-rūh-ul-amīñ se bāñg-e-isrāfīl tak
tū hī asrār-e-suḳhan se hai abhī nā-āshnā
varna is ijmāl meñ maujūd hai tafsīl tak
bas nahīñ chaltā hai un kā varna ye zulmat-parast
apnī phūñkoñ se bujhā deñ arsh kī qindīl tak
ashk' apne sīna-e-pur-ḳhūñ meñ sail-e-ashk bhī
rok rakhtā huuñ jigar ke ḳhuun kī tahlīl tak
Top Urdushayar.com