Ashk Amritsari

kashmakash mein hain teri zulfon ke zindani hanuz

Ashk Amritsari

Amritsar, Punjab, India

1900-1956
kashmakash meñ haiñ tirī zulfoñ ke zindānī hanūz
tīrgī paiham hai ḳham-dar-ḳham pareshānī hanūz
rakhte haiñ ham maqsad-e-tāmīr-e-nau pesh-e-nazar
garche haiñ min-jumla-e-asbāb-e-vīrānī hanūz
sat.h-e-dariyā par sukūñ sā hai magar ai sat.h-bīiñ
qa.ar-o-dariyā meñ vahī maujeñ haiñ tūfānī hanūz
ab junūñ meñ bhī nahīñ aatā hai sahrā kā ḳhayāl
shahr-e-hikmat meñ hai vahshat-ḳhez vīrānī hanūz
pursish-e-ahl-e-qalam ho yā na ho hotī to hai
sañg-e-marmar ke mazāroñ par gul-afshānī hanūz
ham ne rakh dī qālib-e-ash.ār meñ chīz-e-digar
tum nahīñ kar paa.e takmīl-e-zabāñ-dānī hanūz
'ashk' usūl-e-kasb-e-zar se tū nahīñ hai āshnā
tishna-e-takmīl hai terī hama-dānī hanūz
Top Urdushayar.com