phir chand dinoñ se vo har shab ḳhvāboñ meñ hamāre aate haiñ
phir rāh-guzār-e-dil par kuchh qadmoñ ke nishāñ ham paate haiñ
kuchh raat ga.e kuchh raat rahe ham akasr ashk bahāte haiñ
kyā jaane aag lagāte haiñ yā dil kī aag bujhāte haiñ
ai dil ai ḳhushiyoñ ke madfan ai mere ġhamoñ ke tāj-mahal
le ḳhush ho terī ziyārat ko ehsās ke maare aate haiñ
is darja hue ham duniyā se bezār ki zikr-e-ġhair to kyā
ab ḳhud se gurezāñ haiñ aur apne saa.e se ghabrāte haiñ
mānūs haiñ ġham se kuchh aise gar niiñd meñ bhī ham ne 'arshad'
apne ko hañste dekh liyā to dekhte hī Dar jaate haiñ