jiinā hai ek shaġhl so karte rahe haiñ ham
hai zindagī gavāh ki marte rahe haiñ ham
sahte rahe haiñ zulm ham ahl-e-zamīn ke
ilzām āsmān pe dharte rahe haiñ ham
milte rahe haiñ raaz hameñ ahal-e-zohd ke
naaz apne shaġhl-e-jām pe karte rahe haiñ ham
ahbāb kī nigāh pe chaḌhte rahe magar
aġhyār ke diloñ meñ utarte rahe haiñ ham
jaise ki un ke ghar kā pata jānte nahīñ
yuuñ un kī rahguzar se guzarte rahe haiñ ham
karte rahe haiñ qaum se ham ishq be-panāh
haañ nāsehān-e-qaum se Darte rahe haiñ ham
sharmā.eñ kyuuñ na ham se ufuq kī bulandiyāñ
ḳhud apne bāl-o-par ko katarte rahe haiñ ham