un kī fitrat us ko kahiye yā ki fitrat kā usuul
Duub jaate haiñ sitāre aur bikhar jaate haiñ phuul
ik nazar kī kyā haqīqat hai magar ai dosto
umr bhar kī maut ban jaatī hai ik lamhe kī bhuul
ham to haiñ un mahfiloñ ke aaj tak maare hue
jin meñ naġhmoñ kī hai shorish jin meñ zulfoñ kī hai dhuul
aur jo kuchh bhī hai un ke darmiyāñ vo hai garāñ
zindagī arzāñ hai aur hai maut bhī sahlul-husūl
aaj tak dahkī huī siine meñ hai aariz kī aag
dil meñ ab tak chubh rahe haiñ un kī palkoñ ke babūl
de rahe haiñ is tarah vo 'kākavī'-sāhab kī daad
pūchhte haiñ aap ke ash.ār kī shān-e-nuzūl