Momin Khan Momin

mahshar mein pas kyun dam-e-fariyaad aa gaya

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
mahshar meñ paas kyuuñ dam-e-fariyād aa gayā
rahm us ne kab kiyā thā ki ab yaad aa gayā
uljhā hai paañv yaar kā zulf-e-darāz meñ
lo aap apne daam meñ sayyād aa gayā
nākāmiyoñ meñ tum ne jo tashbīh mujh se dī
shīrīñ ko dard-e-talḳhi-e-farhād aa gayā
ham chārāgar ko yuuñ hī pahnā.eñge beḌiyāñ
qaabū meñ apne gar vo parī-zād aa gayā
dil ko qalaq hai tark-e-mohabbat ke baad bhī
ab āsmāñ ko shikva-e-bedād aa gayā
vo bad-gumāñ huā jo kahīñ sher meñ mire
zikr-e-butān-e-ḳhalḳh-o-naushād aa gayā
the be-gunāh jur.at-e-pā-bos thī zarūr
kyā karte vahm-e-ḳhajlat-e-jallād aa gayā
jo ho chukā yaqīñ ki nahīñ tāqat-e-visāl
dam meñ hamāre vo sitam-ījād aa gayā
zikr-e-sharāb-o-hūr kalām-e-ḳhudā meñ dekh
'momin' maiñ kyā kahūñ mujhe kyā yaad aa gayā
Top Urdushayar.com