vo kahāñ saath sulāte haiñ mujhe
ḳhvāb kyā kyā nazar aate haiñ mujhe
us parī-vash se lagāte haiñ mujhe
log dīvāna banāte haiñ mujhe
yā rab un kā bhī janāza uTThe
yaar us kū se uThāte haiñ mujhe
abru-e-teġh se iimā hai ki aa
qatl karne ko bulāte haiñ mujhe
bevafā.ī kā udū kī hai gila
lutf meñ bhī vo satāte haiñ mujhe
hairat-e-husn se ye shakl banī
ki vo ā.īna dikhāte haiñ mujhe
phūñk de ātish-e-dil daaġh mire
us kī ḳhū yaad dilāte haiñ mujhe
gar kahe ġhamza kise qatl karūñ
to ishārat se batāte haiñ mujhe
maiñ to us zulf kī bū par ġhash huuñ
chārāgar mushk suñghāte haiñ mujhe
shola-rū kahte haiñ aġhyār ko vo
apne nazdīk jalāte haiñ mujhe
jaañ ga.ī par na ga.ī jaur-kashī
bād-e-murdan bhī dabāte haiñ mujhe
vo jo kahte haiñ tujhe aag lage
muzhda-e-vasl sunāte haiñ mujhe
ab ye sūrat hai ki ai parda-nashīñ
tujh se ahbāb chhupāte haiñ mujhe
'momin' aur dair ḳhudā ḳhair kare
taur beDhab nazar aate haiñ mujhe