Momin Khan Momin

dil mein us shoKH ke jo rah na ki

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
dil meñ us shoḳh ke jo raah na kī
ham ne bhī jaan dī par aah na kī
parda-poshī zarūr thī ai charḳh
kyuuñ shab-e-bul-havas siyāh na kī
tishna-lab aise ham gire mai par
ki kabhī sair-e-īd-gāh na kī
us ko dushman se kyā bachiye vo charḳh
jis ne tadbīr-e-ḳhasaf-e-māh na kī
kaun aisā ki us se pūchhe kyuuñ
pursish-e-hāl dād-ḳhvāh na kī
thā bahut shauq-e-vasl tū ne to
kamī ai husn tā-ba-gāh na kī
ishq meñ kaam kuchh nahīñ aatā
gar na kī hirs-o-māl-o-jāh na kī
tāb-e-kam-zarf ko kahāñ tum ne
dushmanī kī adū se chaah na kī
maiñ bhī kuchh ḳhush nahīñ vafā kar ke
tum ne achchhā kiyā nibāh na kī
mohtasib ye sitam ġharīboñ par
kabhī tambīh-e-bādshāh na kī
girya-o-āh be-asar donoñ
kis ne kashtī mirī tabāh na kī
thā muqaddar maiñ us se kam milnā
kyuuñ mulāqāt gaah gaah na kī
dekh dushman ko uTh gayā be-dīd
mere ahvāl par nigāh na kī
'momin' is zehn-e-be-ḳhatā par haif
fikr āmurzish-e-gunāh na kī
Top Urdushayar.com