rāz-e-nihāñ zabān-e-aġhyār tak na pahuñchā
kyā ek bhī hamārā ḳhat yaar tak na pahuñchā
allāh re nā-tavānī jab shiddat-e-qalaq meñ
bālīñ se sar uThāyā dīvār tak na pahuñchā
rote to rahm aatā so us ke rū-ba-rū to
ik qatra ḳhuuñ bhī chashm-e-ḳhūñ-bār tak na pahuñchā
āshiq se mat bayāñ kar qatl-e-adū kā muzhda
paiġhām-e-marg hai ye bīmār tak na pahuñchā
be-baḳht rañg-e-ḳhūbī kis kaam kā ki maiñ to
thā gulvale kisī kī dastār tak na pahuñchā
muft avval-e-suḳhan meñ āshiq ne jaan de dī
qāsid bayān terā iqrār tak na pahuñchā
thī ḳhaar raah terī mizhgāñ kī yaad phir shab
tā-sub.h ḳhvāb chashm-e-bedār tak na pahuñchā
baḳht-e-rasā adū ke jo chāhe so kahe ab
yak baar yaar mujh tak maiñ yaar tak na pahuñchā
ġhairoñ se us ne hargiz chhoḌī na hāthā-pā.ī
jab tak ajal kā sadma do-chār tak na pahuñchā
'momin' usī ne mujh se dī bartarī kisī ko
jo past-fahm mere ash.ār tak na pahuñchā