qahr hai maut hai qazā hai ishq
sach to yuuñ hai burī balā hai ishq
asar-e-ġham zarā batā denā
vo bahut pūchhte haiñ kyā hai ishq
āfat-e-jāñ hai koī parda-nashīñ
ki mire dil meñ aa chhupā hai ishq
bul-havas aur lāf-e-jāñ-bāzī
khel kaisā samajh liyā hai ishq
vasl meñ ehtimāl-e-shādi-e-marg
chārāgar dard-e-be-davā hai ishq
sūjhe kyūñkar fareb-e-dildārī
dushman-āshnā-numā hai ishq
kis malāhat-sirisht ko chāhā
talḳh-kāmī pe bā-mazā hai ishq
ham ko tarjīh tum pe hai yaanī
dilrubā husn o jāñ-rubā hai ishq
dekh hālat mirī kaheñ kāfir
naam dozaḳh kā kyuuñ dharā hai ishq
dekhiye kis jagah Dubo degā
merī kashtī kā nāḳhudā hai ishq
ab to dil ishq kā mazā chakkhā
ham na kahte the kyuuñ burā hai ishq
aap mujh se nibāheñge sach hai
bā-vafā husn o bevafā hai ishq
maiñ vo majnūn-e-vahshat-ārā huuñ
naam se mere bhāgtā hai ishq
qais o farhād o vāmiq o 'momin'
mar ga.e sab hī kyā vabā hai ishq