Momin Khan Momin

aag ashk-e-garm ko lage ji kya hi jal gaya

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
aag ashk-e-garm ko lage jī kyā hī jal gayā
aañsū chū us ne poñchhe shab aur haath phal gayā
phoḌā thā dil na thā ye mue par ḳhalal gayā
jab Thes saañs kī lagī dam hī nikal gayā
kyā ro.uuñ ḳhīra-chashmī-e-baḳhtī-e-siyāh ko
vaañ shaġhl-e-surma hai abhī yaañ sail Dhal gayā
kī mujh ko haath malne kī ta.alīm varna kyuuñ
ġhairoñ ko aage bazm meñ vo itr mal gayā
us kūche kī havā thī ki merī hī aah thī
koī to dil kī aag pe pañkhā sā jhal gayā
joñ ḳhuftagān-e-ḳhāk hai apnī fatādgī
aayā jo zalzala kabhī karvaT badal gayā
us naqsh-e-pā ke sajde ne kyā kyā kiyā zalīl
maiñ kūcha-e-raqīb meñ bhī sar ke bal gayā
kuchh jī girā paḌe thā par ab tū ne naaz se
mujh ko girā diyā to mirā jī sambhal gayā
mil jaa.e gar ye ḳhaak meñ us ne vahāñ kī ḳhaak
gul kī thī kyuuñ ki paañv vo nāzuk phisal gayā
but-ḳhāne se na ka.abe ko taklīf de mujhe
'momin' bas ab muaaf ki yaañ jī bahal gayā
Top Urdushayar.com