Momin Khan Momin

tum bhi rahne lage KHafa sahab

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
tum bhī rahne lage ḳhafā sāhab
kahīñ saaya mirā paḌā sāhab
hai ye banda hī bevafā sāhab
ġhair aur tum bhale bhalā sāhab
kyuuñ ulajhte ho jumbish-e-lab se
ḳhair hai maiñ ne kyā kiyā sāhab
kyuuñ lage dene ḳhatt-e-āzādī
kuchh gunah bhī ġhulām kā sāhab
haa.e rī chheḌ raat sun sun ke
haal merā kahā ki kyā sāhab
dam-e-āḳhir bhī tum nahīñ aate
bandagī ab ki maiñ chalā sāhab
sitam āzār zulm o jaur o jafā
jo kiyā so bhalā kiyā sāhab
kis se bigḌe the kis pe ġhussa thā
raat tum kis pe the ḳhafā sāhab
kis ko dete the gāliyāñ lākhoñ
kis kā shab zikr-e-ḳhair thā sāhab
nām-e-ishq-e-butāñ na lo 'momin'
kījiye bas ḳhudā ḳhudā sāhab
Top Urdushayar.com