jab huī ḳhaak to iksīr huī hai baabā
aarzū miTne se tāsīr huī hai baabā
daaġh haiñ qalb-o-jigar chhuT ga.e arbāb-e-vafā
zindagī ab mujhe ta.azīr huī hai baabā
dard hī chāragar aur dard hī darmāñ niklā
dard hī dard kī tadbīr huī hai baabā
koī batlā na sakā tālib-o-mtlūb kā farq
yuuñ tarīqat kī bhī ta.abīr huī hai baabā
karbalā dhuup hai to pyaas hai dariyā-e-furāt
ik sadāqat yūñhī tahrīr huī hai baabā
ḳhaak par sajda ho qātil kī chhurī shah-rag par
har sadā nāra-e-takbīr huī hai baabā
nok neza pe koī boltā qur.ān bhī thā
is tarah se kabhī tafsīr huī hai baabā