Momin Khan Momin

karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
kartā hai qatl-e-ām vo aġhyār ke liye
das biis roz marte haiñ do-chār ke liye
dekhā azāb-e-ranj dil-e-zār ke liye
āshiq hue haiñ vo mire āzār ke liye
dil ishq tere nazr kiyā jaan kyūñki duuñ
rakkhā hai us ko hasrat-e-dīdār ke liye
qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafā par kiyā mujhe
ye hī sazā thī aise gunahgār ke liye
le tū hī bhej de koī paiġhām-e-talḳh ab
ye tajvīz zahr hai tire bīmār ke liye
aatā nahīñ hai tū to nishānī hī bhej de
taskīn-e-iztirāb-e-dil-e-zār ke liye
kyā dil diyā thā is liye maiñ ne tumheñ ki tum
ho jaao yuuñ udū mire aġhyār ke liye
chalnā to dekhnā ki qayāmat ne bhī qadam
tarz-e-ḳhirām o shoḳhi-e-raftār ke liye
jī meñ hai motiyoñ kī laḌī us ko bhej duuñ
iz.hār-e-hāl-e-chashm-e-guhar-bār ke liye
detā huuñ apne lab ko bhī gul-barg se misāl
bose jo ḳhvāb meñ tire ruḳhsār ke liye
jiinā ummīd-e-vasl pe hijrāñ meñ sahl thā
martā huuñ zindagāni-e-dushvār ke liye
'momin' ko to na laa.e kahīñ daam meñ vo but
DhūñDe hai tār-e-sub.ha ke zunnār ke liye
Top Urdushayar.com