Momin Khan Momin

hum samajhte hain aazmane ko

Momin Khan Momin

Delhi, India

1800-1852
ham samajhte haiñ āzmāne ko
uzr kuchh chāhiye satāne ko
sañg-e-dar se tire nikālī aag
ham ne dushman kā ghar jalāne ko
sub.h-e-ishrat hai vo na shām-e-visāl
haa.e kyā ho gayā zamāne ko
bul-havas ro.e mere girye pe ab
muñh kahāñ tere muskurāne ko
barq kā āsmān par hai dimāġh
phūñk kar mere āshiyāne ko
sañg-e-saudā junūñ meñ lete haiñ
apnā ham maqbara banāne ko
shikva hai ġhair kī kudūrat kā
so mire ḳhaak meñ milāne ko
roz-e-mahshar bhī hosh gar aayā
jā.eñge ham sharāb-ḳhāne ko
sun ke vasf us pe mar gayā hamdam
ḳhuub aayā thā ġham uThāne ko
koī din ham jahāñ meñ baiThe haiñ
āsmāñ ke sitam uThāne ko
naqsh-e-pā-e-raqīb kī mehrāb
nahīñ zebinda sar jhukāne ko
chal ke kaabe meñ sajda kar 'momin'
chhoḌ us but ke āstāne ko
Top Urdushayar.com