chal pare haT mujhe na dikhlā muñh
ai shab-e-hijr terā kaalā muñh
ārzū-e-nazzāra thī tū ne
itnī hī baat par chhupāyā muñh
dushmanoñ se bigaḌ ga.ī to bhī
dekhte hī mujhe banāyā muñh
baat puurī bhī muñh se niklī nahīñ
aap ne gāliyoñ pe kholā muñh
ho gayā rāz-e-ishq be-parda
us ne parde se jo nikālā muñh
shab-e-ġham kā bayān kyā kījiye
hai baḌī baat aur chhoTā muñh
jab kahā yaar se dikhā sūrat
hañs ke bolā ki dekho apnā muñh
kis ko ḳhūn-e-jigar pilā.egā
sāġhar-e-mai ko kyuuñ lagāyā muñh
phir ga.ī aañkh misl-e-qibla-numā
jis taraf us sanam ne pherā muñh
ghar meñ baiThe the kuchh udaas se vo
bole bas dekhte hī merā muñh
ham bhī ġhamgīn se haiñ aaj kahīñ
sub.h uTThe the dekh terā muñh
sañg-e-asvad nahīñ hai chashm-e-butāñ
bosa 'momin' talab kare kyā muñh